Shair-o-Shairy
Please Login on Register to Use Forum in full.
Thanks

Join the forum, it's quick and easy

Shair-o-Shairy
Please Login on Register to Use Forum in full.
Thanks
Shair-o-Shairy
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Wo Jazbon Ki Tijaarat Thi Ye Dil Kuch Aur Samjha Tha

Go down

Wo Jazbon Ki Tijaarat Thi Ye Dil Kuch Aur Samjha Tha Empty Wo Jazbon Ki Tijaarat Thi Ye Dil Kuch Aur Samjha Tha

Post by Poet Tue Nov 15, 2011 7:55 pm

Wo Jazbon Ki Tijaarat Thi Ye Dil Kuch Aur Samjha Tha
Usay Hansnay Ki Aadat Thi Ye Dil Kuch Aur Samjha Tha

Mujhey Us Nay Kaha Aao Na'e Dunya Basatey Hai
Usay Soojhi Shararat Thi Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha

Hamesha Us Ki Aankhon Mein Dhanak Say Rang Rehtey They
Yeh Us Ki Aam Halat Thi Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha

Wo Mairey Paas Baithi Dair Tak Ghazlain Meri Sunti
Usay Khud Say Mohaabbat Thi Ye Dil Kuch Aur Samjha Tha

Merey Kaandhey Pay Sar Rakh Kar Keheen Kho Gae Thi Wo
Ye Ek Waqti Inaayat Thi Ye Dil Kuch Aur Samjha Tha

Mujhey Wo Dekh Kar Aksar Nigaahain Phair Leyti Thi
Ye Dar Parda Heqaarat Thi Ye Dil Kuch Aur Samjha Tha

Poet

Posts : 101
Join date : 2011-11-13

Back to top Go down

Back to top

- Similar topics

 
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum