Shair-o-Shairy
Please Login on Register to Use Forum in full.
Thanks

Join the forum, it's quick and easy

Shair-o-Shairy
Please Login on Register to Use Forum in full.
Thanks
Shair-o-Shairy
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Kaash ki usey bhi mujh jaisa pyaar hota,

Go down

Kaash ki usey bhi mujh jaisa pyaar hota, Empty Kaash ki usey bhi mujh jaisa pyaar hota,

Post by Poet Tue Nov 15, 2011 8:53 pm

Kaash ki usey bhi mujh jaisa pyaar hota,
Meri tarah se woh bhi zara beqarar hota.
Main saath uske hansti roti to saath hota,
Ek pal bicharana mujhsey usey naaganwar hota.

Meri khabar naa paakar meri tarah tarapta,
Darwaze tak woh jata waapas phir palatta,
Jo guzar rahi hai mujhpar mehsoos woh bhi karta,
Meri tarah usey bhi mera intezaar hota.
Kaash ki usey bhi mujh jaisa pyaar hota!

Waaqif hoon main jahan ki harek haqeeqat se,
Inkar nahi mujhko uski muhabbat se,
Woh apni pareshani khulkar zaroor kehta,
Meri wafa par usko gar aitbaar hota.
Kaash ki usey bhi mujh jaisa pyaar hota !

Kabhi ussey rooth jaati to mujhey manaata,
Mujhko sada dekar kabhi neend se jagaata,
Jab meri kami khalti woh yaad mujhko karta,
Kabhi meri tarah dil uska be-ikhtiyaar hota.
Kaash ki usey bhi mujh jaisa pyaar hota!

Bechain jab main hoti hichkiyaan woh leta,
Mere khat se pehle paighaam mujhko deta,
Har baat ko bhulaakar ek baar apna kehta,
Us lamha meri khatir patjhad bahaar hota.
Kaash ki usey bhi mujh jaisa pyaar hota!

Raaton ko meri khatir woh neend apna khota,
Chaunk kar woh uthta woh meri tarah rota,
Mere dard ka jab ehsaas usko hota,
Khud se malaal usdam usey beshumaar hota.
Kaash ki usey bhi mujh jaisa pyaar hota.

Magar jaisa bhi hai rishta acha hai yaa bura hai,
Mere liye bahut hai ki mujhse woh jura hai.
Harwaqt bas khuda se meri itni ilteja hai,
Khwab jab bhi tootey sirf uska deedar hota.
Kaash ki usey bhi mujh jaisa pyaar hota!

Poet

Posts : 101
Join date : 2011-11-13

Back to top Go down

Back to top

- Similar topics

 
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum