Shair-o-Shairy
Please Login on Register to Use Forum in full.
Thanks

Join the forum, it's quick and easy

Shair-o-Shairy
Please Login on Register to Use Forum in full.
Thanks
Shair-o-Shairy
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Tujhay izhaar-e-mohabbat say agar nafrat thi

Go down

Tujhay izhaar-e-mohabbat say agar nafrat thi Empty Tujhay izhaar-e-mohabbat say agar nafrat thi

Post by Poet Tue Nov 15, 2011 8:38 pm

Tujhay izhaar-e-mohabbat say agar nafrat thi
tu nay hoontoon ko laraznay say tou roka hota

bay niyazi say magar kaampti aawaz keh saath
tu nay ghabra keh maira naam na poocha hota

tairay bas main thi agar mashal-e-jazbaat ki lau
tairay rukhsaar main gulzaar na bharka hota

yuun tou mujh say hoween bas aab-o-hawa ki baatain
apnay tootay howay fiqroon ko tou parkha hota

yunhi bay wajha thithaknay ki zaroorat kiya thi
dam-e-rukhsat agar kuch yaad na aaya hota

taira ghammaz bana jo taira andaaz-e-jurm
dil na sanbhla tha tou qadmoon ko sanmbhala hota

apnay badlay mairi tasweer nazar aa jati
tu nay uss waqt agar aayina daikha hota

hausla tujh main na tha mujh say juda honay ka
warna kaajal tairi aankhoon main na phaila hota

Poet

Posts : 101
Join date : 2011-11-13

Back to top Go down

Back to top

- Similar topics

 
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum