Shair-o-Shairy
Please Login on Register to Use Forum in full.
Thanks

Join the forum, it's quick and easy

Shair-o-Shairy
Please Login on Register to Use Forum in full.
Thanks
Shair-o-Shairy
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Deti rahey gi kab tak tuu Baleedaan?

Go down

Deti rahey gi kab tak tuu Baleedaan? Empty Deti rahey gi kab tak tuu Baleedaan?

Post by Poet Tue Nov 15, 2011 8:38 pm

Hey re teri kia auqaat..
Dhood pilaney waley janwaron mein..
Ae sab se kam auqaat..
Pursh ki pasli se tera janam hoa..
Aur hamesha paaon mein tuu pehni gayi..

Jab maa'N jaya phulwari mein titli hota..
tere phool se hathon mein..
tere qadd se barri jharroo hoti..
maa'N ka aanchal pakrey pakrey..
Tujh ko kitney kaam aa jatey..
Upley thaapna..
Lakrri kaatna..
Phir bhi makhhan ki tikya..
Maa'n ne hamesha bhayya ki roti pe rakhi..
tere liye bas raat ka salan..
raat ki roti..

Rookhi sookhi khatey..
Mota jhoota pehnetey..
Tujh pe jawani aayi tu..
tere baap ki nafrat tujh se aur barhi..
Tere uthney bethney, chlaney phirney par..
Aisi karri nazar rakhi..
jaisey zara si chook hoi..
Aur tuu bhaag gayi..

16wan lagtey hi..
Aik mard ne apney mann ka boojh..
Dusrey mard k tann pe utaar diya..
Bas ghar aur malik badla..
Teri chaakri wohi rahi..
Balke kuch aur ziada..
Ab tere zimmey..
Roti khilaney waley ko..
Raat gaye khush karna bhi..
Aur har sawan gabhan hona..
Purey dino se ghar ka kaam sambhalti..
Pati ka sath..bas bister takk
Aagey tera kaam..!!

Kaisi nokri hey..
Jis mein koi deharri nahi..
Jis mein koi chutti nahi..
Jis mein alag ho janey ki, sirey se koi reet nahi..
Dhoor dangaron ko bhi..
Jaith asarrh ki dhoop mein..
Pairr taley sastaney ki ijazat hoti hey..
Tere bhaag mein aisa koi samey nahi..
Teri jeewan pagdandi par, aisa koi pairr nahi..

Hey re kin karmon ka phal hey tuu..
Tann baichey tu kasbi thehrey..
Mann ka souda karey aur patni kehlaye..
Samey k hathon hota rahey ga..
Kab tak yeh apmaan??
Aik niwala roti..
Aik katorey paani ki khatir..
Deti rahey gi kab tak tuu Baleedaan??

Poet

Posts : 101
Join date : 2011-11-13

Back to top Go down

Back to top


 
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum