Wo sari batain wo saray qissay,Jo us say milnay say baishtar,Meri zindagi ki hakaitain theen
Page 1 of 1
Wo sari batain wo saray qissay,Jo us say milnay say baishtar,Meri zindagi ki hakaitain theen
Mai kitni wariftigi say usay suna raha tha
Wo sari batain wo saray qissay
Jo us say milnay say baishtar
Meri zindagi ki hakaitain theen
Mai keh raha tha
K aur bhi log thay
Jinhay meri arzoo thi meri talab thi
K jinsay meri muhabaton ka raha tal-luq
K jin ki mujh par enayatain theen
Mai keh raha tha
K un may kuch ko to mainay
Jaan say aziz jana
Magar unhi may say baaz ko
Meri baydili say shikayatain theen
Main aik aik baat
Aik aik jurm ki kahani
Dharaktay dil kamptay badan say suna raha tha
Magar wo pathar bani
Mujhay is tarah say sunti rahi
K jaisay meray laboon par
Kisi muqaddas tareen' sahifay ki ayatain theen
Wo sari batain wo saray qissay
Jo us say milnay say baishtar
Meri zindagi ki hakaitain theen
Mai keh raha tha
K aur bhi log thay
Jinhay meri arzoo thi meri talab thi
K jinsay meri muhabaton ka raha tal-luq
K jin ki mujh par enayatain theen
Mai keh raha tha
K un may kuch ko to mainay
Jaan say aziz jana
Magar unhi may say baaz ko
Meri baydili say shikayatain theen
Main aik aik baat
Aik aik jurm ki kahani
Dharaktay dil kamptay badan say suna raha tha
Magar wo pathar bani
Mujhay is tarah say sunti rahi
K jaisay meray laboon par
Kisi muqaddas tareen' sahifay ki ayatain theen
Poet- Posts : 101
Join date : 2011-11-13
Similar topics
» Zindagi Ke Baad ....!!
» Yeah kis ne kaha tum kooch karo, Batain na banao, Insha Jee!!
» zindagi ki lagan me zinda na raha,
» Aik bar kaho tum meri ho
» Meri hasraton ko zuban de
» Yeah kis ne kaha tum kooch karo, Batain na banao, Insha Jee!!
» zindagi ki lagan me zinda na raha,
» Aik bar kaho tum meri ho
» Meri hasraton ko zuban de
Page 1 of 1
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum